Saturday, January 3, 2009

Khwab...



Kabhi kabhi aisa hota hai
Aankhon ke samne ek sarmad roop dikhta hai
Kuch dhundhla, pila-narangi mila jula sa
Ek khush, munavvar shaistah chehra
Par choone ko jab haanth hoon badhata
To pal mein dhuan hota hai

Sochta hoon usey, dhondhta hoon usey
Khwabon mein, khayalon mein
Saahil pe bichi khamosh ret ke har kan mein
Aasamaan mein udatey khush badalon mein
Baarish ki tapakti har safee boond mein
Aur, sahn-e-chaman mein khile har phool mein

Chand ko muskurane ko bolta hoon
Khamosh hawa ke saath paigaam bhejta hoon
Khhuda se yehi fariyaad karta hoon
Usse roo-ba-roo hone ka intezaar karta hoon

8 comments:

Quest said...

hey nice one ...reminded me of Kajols poetry in DDLj

peheli baar hua hai ye 17-18 saalon mein
andekha anjana koi aane laga khayalon mein ...
aankhon ki khidki pe koi saya sa leherata hai
dil ke darwaze par koi dastak dekar jata hai ....

Jainuine said...

Yaar, that poetry in DDLJ is quite a masterpiece, and I too very very love it!!!
But yeah, thanks for the kind words and nice to have you around here.
:)

Pradeep Kumar S J said...

Mujhe yeh samajne ke liye, one Hindi to English Dictionary chahiye.

Hypnos said...

You have been tagged.
http://blog.dsignbeyond.com/2009/02/then-now-and-will-be.html

pranstrance said...

good one..ankit..

Jainuine said...

Hey thanks Praneet...

Ankita Joshi said...

m amazed

molto bella..!!!:))

Jainuine said...

Grazie Ankita!