Saturday, January 3, 2009

Khwab...



Kabhi kabhi aisa hota hai
Aankhon ke samne ek sarmad roop dikhta hai
Kuch dhundhla, pila-narangi mila jula sa
Ek khush, munavvar shaistah chehra
Par choone ko jab haanth hoon badhata
To pal mein dhuan hota hai

Sochta hoon usey, dhondhta hoon usey
Khwabon mein, khayalon mein
Saahil pe bichi khamosh ret ke har kan mein
Aasamaan mein udatey khush badalon mein
Baarish ki tapakti har safee boond mein
Aur, sahn-e-chaman mein khile har phool mein

Chand ko muskurane ko bolta hoon
Khamosh hawa ke saath paigaam bhejta hoon
Khhuda se yehi fariyaad karta hoon
Usse roo-ba-roo hone ka intezaar karta hoon