Tuesday, December 29, 2009

Galtiyaan




Gaye dinon ke barey mein sochta hoon
To kuch galtiyaan yaad aati hain
Afsos bhi hota hai, thodi sharm bhi aati hai
Ki kaise khud ko samajhne mein bhool ho jati hai
Aur rishton ke dhaage ulajh jate hain
Nadani nahin, unhe galtiyaan hi maanta hoon

Kafi pani beh chuka shayad
ab samay hai be-rok
khuli saans mein, Seedhi baat hoye
maine raftar dheemi kar di hai
Zindagi ke kuch uljhe huye dhaagon ko
Ek baar phir, suljhana chahta hoon

:)

Saturday, October 17, 2009

Chala karta hoon


Chala karta hoon main sunsaan sadak par

Shayad sirf wohi ek rasta janta hoon

Nahin janta ki woh jati hai kidhar

Woh ghar hai mera, itna janta hoon


Parchayee hi keval saath chalti hai

Chichla ek dil, mera hi dhadakta hai

Chahta hoon ki koi mujhe le dhoond

Tab tak, akela chala jata hoon


:)

Saturday, August 1, 2009

Thought of You




Walking down the shore
enjoying the smooth breeze
I tossed a pebble and harmonized
a diminishing trail of footsteps

I spotted you approaching
With grace and joy on our feet
Warm affection in your eyes so sweet
And a spirit upbeat
“Sweet Heart” said the t-shirt
Skirt danced on tinkle of the anklet
You smelled of blooming flowers
As it invited the wind to cheer

The wave below my feet retreated
Creating a void to be satiated
Heads turned and eyes locked
Hey! A smile passed

As we crossed, I slowed to turn
Only to watch her carry-on
That was a moment with a whimsical hue
I still have sand in my shoes
And I cannot shake the thought of you.

:)

Saturday, January 3, 2009

Khwab...



Kabhi kabhi aisa hota hai
Aankhon ke samne ek sarmad roop dikhta hai
Kuch dhundhla, pila-narangi mila jula sa
Ek khush, munavvar shaistah chehra
Par choone ko jab haanth hoon badhata
To pal mein dhuan hota hai

Sochta hoon usey, dhondhta hoon usey
Khwabon mein, khayalon mein
Saahil pe bichi khamosh ret ke har kan mein
Aasamaan mein udatey khush badalon mein
Baarish ki tapakti har safee boond mein
Aur, sahn-e-chaman mein khile har phool mein

Chand ko muskurane ko bolta hoon
Khamosh hawa ke saath paigaam bhejta hoon
Khhuda se yehi fariyaad karta hoon
Usse roo-ba-roo hone ka intezaar karta hoon