Monday, September 1, 2008

Pyaar ka Ehsaas...




Uski zindagi ki gehraiyon ko
Samajh pana mushkil hai
Par uski dil ki aawaaz ko sun pane se
Kya hi haasil hai
Jab tak uske liye pyaar ka ehsaas na ho

Uski hansi mein jhalke shabdon ko
Padh pana mushkil hai
Par uski khamoshiyon mein dabey raaz jaanne se
Kya hi hasil hai
Jab tak uske liye pyaar ka ehsaas na ho

Uski zindagi ke khwabon ko
Roop de pana mushkil hai
Par uske ateet mein jhankne se
Kya hi haasil hai
Jab tak uske liye pyaar na ho

Phir bhi use jaanna chahta hoon…
:)

6 comments:

PremC said...

Who is this uski???

Jainuine said...

hahaha...
a figment of my imagination
;)

Unknown said...

Man we never knew we have Shayar in our GLC group ...waise yeh mohartma kaun hain ...

Priyanka Mohapatra said...

Ishq ne aajtak kisika bhala na kiya hai na karega
Jab pyar na tha to sochte the silsila style...woh hota to kaisa hota
Jab pyar hua to khooshi ke saath kuch gum bhi aaya
jhagada hota to sochte hain kaas pehle jaise hum akele hote.

Pyaar bahut kuch deta hai par azadi chhin leta hai...

Aaj tu pyar ke liye ro raha hai...aur kal tu apniazadi ke liye royega...

par isi bahane hume teri kavita sun ne ko milegi

jiyo mere shayar...jiyo...

Jainuine said...

Thanks shikha!
Priyamo - is this personal experience eh?
;)
btw, tera shayarana andaaz bhi nirala hai...
Nice to hear from you
:)

Unknown said...

hey dear...aap use zarooor jano..pehchano..par yeh to bata do woh shahzadi hai kaun????????