Saturday, October 17, 2009

Chala karta hoon


Chala karta hoon main sunsaan sadak par

Shayad sirf wohi ek rasta janta hoon

Nahin janta ki woh jati hai kidhar

Woh ghar hai mera, itna janta hoon


Parchayee hi keval saath chalti hai

Chichla ek dil, mera hi dhadakta hai

Chahta hoon ki koi mujhe le dhoond

Tab tak, akela chala jata hoon


:)